Zindagi (a struggle) - By Nikhil Sarvankar. My first ever hindi poem
27 August 2013 at 15:40
Zindagi se itna kyu darte hai hum,
Ke shuruwaat se pehle hi nakaamyaabi ke dar se
dum todd dete hai hum...
Kyu baar baar Logon ke salaah ka shor sunte hai hum,
ke khudke hi dil ki sacchi awaz bhi ansuni kar dete hai hum...
Itna kyu Bhatak te rehte hai hum dar badar hamesha chand sikko ke peeche,
Ke iss shahuurat bhari daud me kuchal di hai khushiya aur jazbaat paero taale neeche...
Jo bhavishya abhi bana hi nahi jo waqt abhi dekha hi nahi uski fikr me kyu hai hamara aaj hairaan,
Waqt ke kaante aur zindagi ka ye khel to hamesha se rahe hai maut ke hi mehmaan...
Aaj hi hame hai sajaana hamare aaj ka shamiyaana,
Kyuki jo hai vo aaj hai, kal ka khwaab to abhi baki hai aana...
Purre taqat se puree junoon se purre dil se karna hai zindagi ke toofano ke liye khud ko bulaand itnaa ,
Ke har taqdeer se pehle khuda bandhe se khud puche...bataa teri kyaa hai razaa?
Aaj ke baad nahi darenge hum shuruwaat ke khauf se,
Kyuki shuruwaat ke aage hi haseen aant hai aur,
DAR KE AAGE HI SUNEHRI JEET HAI...

No comments:
Post a Comment